अब आप न्यूज्ड हिंदी में पढ़ सकते हैं। यहाँ क्लिक करें
Home » Trending » From Mujhse Pehle Si Mohabbat to Hum Dekhege, Here are 5 Nazm of timeless poet Faiz Ahmad Faiz

From Mujhse Pehle Si Mohabbat to Hum Dekhege, Here are 5 Nazm of timeless poet Faiz Ahmad Faiz

His notable works include Naqsh-e-Faryadi, Dast-e-Sabah and Zindan-nama and the most trending these days Hum Dekhege. Here we are to set you on the roller coaster ride of emotions on the 109th birth anniversary of timeless poet Faiz Ahmad Faiz:

By Newsd
Published on :
From Mujhse Pehle Si Mohabbat to Hum Dekhege, Here are 5 Nazm of timeless poet Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz is being remembered on the 109th birth anniversary on February 13. The renowned poet has been in a number of controversies even after his death. Faiz Ahmad Faiz wrote dozens of ghazals, dialogues, and songs for films. Faiz breathed his last on 20th November 1984 at the age of 73 years.

His notable works include Naqsh-e-Faryadi, Dast-e-Sabah and Zindan-nama and the most trending these days Hum Dekhege.

Here we are to set you on the roller coaster ride of emotions on the 109th birth anniversary of timeless poet Faiz Ahmad Faiz:

1. Mujhse Pehli Si Mohabbat

mujh se pahlī sī mohabbat mirī mahbūb na maañg
maiñ ne samjhā thā ki tū hai to daraḳhshāñ hai hayāt
terā ġham hai to ġham-e-dahr kā jhagḌā kyā hai
terī sūrat se hai aalam meñ bahāroñ ko sabāt
terī āñkhoñ ke sivā duniyā meñ rakkhā kyā hai
tū jo mil jaa.e to taqdīr nigūñ ho jaa.e
yuuñ na thā maiñ ne faqat chāhā thā yuuñ ho jaa.e
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
an-ginat sadiyoñ ke tārīk bahīmāna tilism
resham o atlas o kamḳhāb meñ bunvā.e hue
jā-ba-jā bikte hue kūcha-o-bāzār meñ jism
ḳhaak meñ luThḌe hue ḳhuun meñ nahlā.e hue
jism nikle hue amrāz ke tannūroñ se
piip bahtī huī galte hue nāsūroñ se
lauT jaatī hai udhar ko bhī nazar kyā kiije
ab bhī dilkash hai tirā husn magar kyā kiije
aur bhī dukh haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
rāhateñ aur bhī haiñ vasl kī rāhat ke sivā
mujh se pahlī sī mohabbat mirī mahbūb na maañg

2. Hum Dekhege

ham dekheñge
lāzim hai ki ham bhī dekheñge
vo din ki jis kā va.ada hai
jo lauh e-azal meñ likhkhā hai
jab zulm-o-sitam ke koh-e-girāñ
ruuī kī tarah uḌ jā.eñge
ham mahkūmoñ ke pāñv-tale
jab dhartī dhaḌ-dhaḌ dhaḌkegī
aur ahl-e-hakam ke sar-ūpar
jab bijlī kaḌ-kaḌ kaḌkegī
jab arz-e-ḳhudā ke ka.abe se
sab but uThvā.e jā.eñge
ham ahl-e-safā mardūd-e-haram
masnad pe biThā.e jā.eñge
sab taaj uchhāle jā.eñge
sab taḳht girā.e jā.eñge
bas naam rahegā allāh kā
jo ġhāeb bhī hai hāzir bhī
jo manzar bhī hai nāzir bhī
uTThegā anal-haq kā na.ara
jo maiñ bhī huuñ aur tum bhī ho
aur raaj karegī ḳhalq-e-ḳhudā
jo maiñ bhī huuñ aur tum bhī ho

3. Bol

bol ki lab āzād haiñ tere
bol zabāñ ab tak terī hai
terā sutvāñ jism hai terā
bol ki jaañ ab tak terī hai
dekh ki āhan-gar kī dukāñ meñ
tund haiñ sho.ale surḳh hai aahan
khulne lage qufloñ ke dahāne
phailā har ik zanjīr kā dāman
bol ye thoḌā vaqt bahut hai
jism o zabāñ kī maut se pahle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kahnā hai kah le

4. Kuch Ishq Kiya Kuch Kaam Kiya

kuchh ishq kiyā kuchh kaam kiyā
vo log bahut ḳhush-qismat the
jo ishq ko kaam samajhte the
yā kaam se āshiqī karte the
ham jīte-jī masrūf rahe
kuchh ishq kiyā kuchh kaam kiyā
kaam ishq ke aaḌe aatā rahā
aur ishq se kaam ulajhtā rahā
phir āḳhir tañg aa kar ham ne
donoñ ko adhūrā chhoḌ diyā

5. Subh- e- Azadi

ye daaġh daaġh ujālā ye shab-gazīda sahar
vo intizār thā jis kā ye vo sahar to nahīñ
ye vo sahar to nahīñ jis kī aarzū le kar
chale the yaar ki mil jā.egī kahīñ na kahīñ
falak ke dasht meñ tāroñ kī āḳhirī manzil
kahīñ to hogā shab-e-sust-mauj kā sāhil
kahīñ to jā ke rukegā safīna-e-ġham dil
javāñ lahū kī pur-asrār shāh-rāhoñ se
chale jo yaar to dāman pe kitne haath paḌe
dayār-e-husn kī be-sabr ḳhvāb-gāhoñ se
pukārtī rahīñ bāheñ badan bulāte rahe
bahut aziiz thī lekin ruḳh-e-sahar kī lagan
bahut qarīñ thā hasīnan-e-nūr kā dāman
subuk subuk thī tamannā dabī dabī thī thakan

Related

Latests Posts


Editor's Choice


Trending